Barish Poetry in Urdu Text | بارش پر شاعری

Here you can get the new collection of Barish Poetry in Urdu text with new design images. Even if it’s raining, cold wind and lovely friends are not there, read this beautiful 2-line Poetry on rain and share it with your friends.

Barish Poetry in Urdu 2 Line

Barish Poetry in Urdu

ٹپک پڑتے ہیں آنسو جب اپنوں کی یاد آتی ہے
یہ وہ برسات ہے کہ جس کا کوئی موسم نہیں ہوتا

“tapak parte hain ansoo jab apnon ki yaad aati hai
yeh woh barsaat hai ke jis ka koi mausam nahi hota”

Barish Poetry in Urdu

اس نے بارش میں بھی کھڑکی کھول کے دیکھا نہی
بھیگنے والوں کو کل کیا کیا پریشانی ہوئی

“is ne barish mein bhi khirki khol ke dekha naahi
bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui”

Barish Poetry in Urdu

تیری قربت بھی نہیں ہے میسر
اور دن بھی بارشوں كے آ گئے ہیں

“teri qurbat bhi nahi hai muyassar
aur din bhi baarisho ke aa gaye hain”

Barish Poetry in Urdu

کچے مکان جتنے تھے بارش میں بہہ گئے
ورنہ جو میرا دکھ تھا وہ دکھ عمر بھر کا تھا

“kachay makaan jitne thay barish mein beh gaye
warna jo mera dukh tha woh dukh Umar bhar ka tha”

Barish Poetry in Urdu

موسم کو بھی میری خبر ہو شاید
میری طرح وہ بھی آج ٹوٹ کے برسا

“mausam ko bhi meri khabar ho shayad
meri terhan woh bhi aaj toot ke barsa”

Barish Poetry in Urdu

جب بھی بارش ھوتی ھے
مجھے دھیمی مٹی کی خوشبو ستاتی ھے

“jab bhi barish hoti he
mujhe dheemi matti ki khushbu satati he”

Barish Poetry in Urdu

ان بارشوں سے کہہ دو کہیں اور جا کر برسیں
اس دل کے نگر میں اب تیرا آستاں نہیں ہے

“en baarisho se keh do kahin aur ja kar barsen
is dil ke nagar mein ab tera aastaan nahi hai”

Barish Poetry in Urdu

برسات کے آتے ہی توبہ نہ رہی باقی
بادل جو نظر آئے بدلی میری نیت بھی

“barsaat ke atay hi tauba nah rahi baqi
baadal jo nazar aaye badli meri niyat bhi”

Barish Poetry in Urdu

ان بارشوں کا برسنا بے سبب نہیں
رویا ہو گا کوئی بادل پھر محبت کی طرح

“en baarisho ka barasna be sabab nahi
roya ho ga koi baadal phir mohabbat ki terhan”

Barish Poetry in Urdu

اک تم اور اک بارش دونوں کمال کرتے ہو
آتے ہو آگ لگانے , بجانا بھول جاتے ہو

“ik tum aur ik barish dono kamaal karte ho
atay ho aag laganay, bajana bhool jatay ho”

Barish Poetry in Urdu

یہ بارِ ش کا موسم بھی بہت ہی عجیب ہوتا ہے
اکثر کوئی یاد آتا ہے جو دِل کے قریب ہوتا ہے

“yeh bari sh ka mausam bhi bohat hi ajeeb hota hai
aksar koi yaad aata hai jo dil ke qareeb hota hai”

Barish Poetry in Urdu

موسم کی ادا آج بھی پُر کیف ہے لیکن
اک گزری ہوئی برسات کی حسرت نہیں جاتی

“mausam ki ada aaj bhi pur Kaif hai lekin
ik guzri hui barsaat ki hasrat nahi jati”

Barish Poetry in Urdu

اے بارش برس برس اور برس
أج تو اس کی يادوں کو بہا کے لے جا

“ae barish baras baras aur baras
أج to is ki yaado ko baha ke le ja”

Barish Poetry in Urdu

اب کون سے موسم سے کوئی آس لگائے
برسات میں بھی یاد نا جب ان کو ہم آئے

“ab kon se mausam se koi aas lagaye
barsaat mein bhi yaad na jab un ko hum aaye”

Barish Poetry in Urdu

ہمارے شہر آجاؤ ہمیشہ برسات رہتی ہے
کبھی بادل برستے ہیں کبھی آنکھیں برستی ہیں

“hamaray shehar aajao hamesha barsaat rehti hai
kabhi baadal baraste hain kabhi ankhen barasti hain”

Barish Poetry in Urdu

صحرا کی طرح تھی خشک آنکھیں
بارش ، کہیں دِل میں ہو رہی تھی

“sehraa ki terhan thi khushk ankhen
barish, kahin dil mein ho rahi thi”

Barish Poetry in Urdu

اب بھی برسات کی راتوں میں بدن ٹوٹتا ہے
جاگ اٹھتی ہیں عجب خواہشیں انگڑائی کی

“ab bhi barsaat ki raton mein badan toot-ta hai
jaag uthti hain ajab khuwaishe angrai ki”

Barish Poetry in Urdu

تم جو ہوتے تو بات اور تھی
اب کی بارش تو صرف پانی ہے

“tum jo hotay to baat aur thi
ab ki barish to sirf pani hai”

Barish Poetry in Urdu

تم جو نہیں اِس بارش میں
پِھر آگ لگے اِس موسم کو

“tum jo nahi iss barish mein
pِhir aag lagey iss mausam ko”

Barish Poetry in Urdu

بارش شرابِ عرش ہے یہ سوچ کر آدم
بارش کے سب حروف کو الٹا کے پی گیا

“barish sharaab arsh hai yeh soch kar aadam
barish ke sab huroof ko ulta ke pi gaya”

Barish Poetry in Urdu

ہیں پتھروں کی زد پہ , تمہاری گلی میں ہم
کیا آئے تھے یہاں , اسی برسات کے لیے

“hain patharon ki zad pay, tumhari gali mein hum
kya aaye thay yahan, isi barsaat ke liye”

Barish Poetry in Urdu

حجر کا تارا ڈوب چالا ہے ڈھلنے لگی ہے رات وصی
قطرہ قطرہ برس رہی ہے اشکوں کی برسات وصی

“hijr ka tara doob chala hai dhalnay lagi hai raat wasii
qatra qatra baras rahi hai ashkon ki barsaat wasii”

Barish Poetry in Urdu

بارش کی بوندیں ہی اسے میری یاد دلا دیں
بارش میں کبھی ہم بھی ساتھ چلے تھے

“barish ki bonden hi usay meri yaad dila den
barish mein kabhi hum bhi sath chalay thay”

Barish Poetry in Urdu

میں وہ صحرا جسے پانی کی ہوس لے ڈوبی
تو وہ بادل جو کبھی ٹوٹ کے برسا ہی نہیں

“mein woh sehraa jisay pani ki hawas le doobi
to woh baadal jo kabhi toot ke barsa hi nahi”

Barish Poetry in Urdu

ٹوٹ پڑتی تھیں گھٹائیں جن کی آنکھیں دیکھ کر
وہ بھری برسات میں ترسے ہیں پانی کے لیے

“toot padtee theen ghatain jin ki ankhen dekh kar
woh bhari barsaat mein tarse hain pani ke liye”

Barish Poetry in Urdu

ہمیں کیا معلوم تھا کہ
یہ موسم یوں رو پڑے گا

“hamein kya maloom tha ke
yeh mausam yun ro parre ga”

Barish Poetry in Urdu

کیا روگ دے گئی ہے یہ نئے موسم کی بارش
مجھے یاد آرہے ہیں , مجھے بھول جانے والے

“kya rog day gayi hai yeh naye mausam ki barish
mujhe yaad arhay hain, mujhe bhool jane walay”

Barish Poetry in Urdu

میں چپ کراتا ہوں ہر شب امڈتی بارش کو
مگر یہ روز گئی بات چھیڑ دیتی ہے

“mein chup karata hon har shab امڈتی barish ko
magar yeh roz gayi baat chairr deti hai”

Barish Poetry in Urdu

حیرت سے تکتا ہے صحرا بارش کے نذرانے کو
کتنی دور سے آئی ہے یہ ریت سے ہاتھ ملانے کو

“herat se taktaa hai sehraa barish ke nazrane ko
kitni daur se aayi hai yeh rait se haath milaane ko”

I hope you will like My collection of Barish Poetry in Urdu Text. Share with friends on WhatsApp, and Facebook, Thanks.